Wednesday, October 19, 2011

MY FRIEND JAGJIT


A few days back my best friend died, his name was Jagjit Singh. I have not known him in person but I have grown older listening to his melodious voice. I have learned many of my life lessons from his songs.

Every time when I was sad or lost in this material world his songs gave solace to my heart. He was a good friend and he has touched my heart in different ways. For me he is not dead. He is alive in his music. I can still feel his soul with me in his songs just like old times. He is still taking care of me guiding me through the path of life with his songs.

I like to share his few wonderful numbers. hope you all will cherish it

MAIN NASHE ME HOON

Thukaraao yaa ab ke pyaar karo main Nashe me hun
Jo chaaho mere yaar karo main nashe me hun
Ab bhii dilaa raha huu n yakiin-ne-vaffa magar
Meraa Na aitabaar karo main Nashe me n huun
Girane do tum mujhe meraa saagar sambhal lo
Itna to mere yaar karo main Nashe me n huun
Mujhako qadam qadam pe bahakane do vaa-izon
Tum apanaa kaarobaar karo main Nashe me huun
Phir be-khudii me n had se guzarane lagaa huun
Itna Na mujhase pyaar karo mai n Nashe me n huun
video of the song


YE JO ZINDAGI KI KITAB HAI

Ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai
Kahin ik haseen sa khwaab hai kahin jaan lewa ajaab hai
Kahin chaaon hai kahin dhoop hai, kahin aur hi koi roop hai
Kai chechre isme chupe huye, ik ajeeb si ye naqaab hai

Kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin gaa liya
Kahin cheen leti hai har khushi kahin meharbaan behisaab hai

Kahin aansoon iki hai daastaan kahin muskurahaton ka bayaan
Kahin kbarkaton ki hai baarishen kahin tishnagi behisaab hai

video of the song

JEEVAN KYA HAI

Jeevan kyaa hai chalataa phirataa ek khilonaa hai
do aankhon men ek se hansanaa ek se ronaa hai
jo jii chaahe vo mil jaaye kab aisaa hotaa hai
har Jeevan Jeevan jiine kaa samajhautaa hai
ab tak jo hotaa aayaa hai vo hii honaa hai
raat andherii bhor suhaanii yahii zamaanaa hai
har chaadar men dukh kaa taanaa sukha kaa baanaa hai
aatii saans ko paanaa jaatii saans ko khonaa hai



SHAYAD MAIN ZINDAGI KI SAHAR LE KE AA GAYA

Shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya
Qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya

Shayad main zindagi ki sahar leke aa gaya

Taa-Umr Dhundta raha manzil main ishq ki
Anjaam Ye ke garde safar le ke aa gaya

Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maikada
Lo main ilaaze dard-e-jigar le ke aa gaya

‘Fakir’ sanam kade mein na aata main lautkar
Ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya

Shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya
video of this song


KAL CHAUDVIN KI RAAT THI

Kal chaudvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai - 2
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi
Hum bhi vahin maujood the - 2
Humse bhi sab poochha kiye
Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye
Hum has diye, hum chup rahe - 2
Manzoor tha parda tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Is shaher mein kisse mile - 2
Humse to chhooti mehfilein
Is shaher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein
Har shaks tera naam le - 2
Har shaks deewana tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Koonche ko tere chhodkar - 2
Jogi hi ban jaaye magar
Koonche ko tere chhodkar - 2
Jogi hi ban jaaye magar
Jungle tere, parbat tere - 2
Basti teri, sahera tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Bedard sunni ho to chal - 2
Kehta hai kya achchhi ghazal
Bedard sunni ho to chal
Kehta hai kya achchhi ghazal
Aashiq tera, ruswaan tera - 2
Shaayar tera, inshaa tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai - 2
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
video of the song

No comments: